dhaDkanon ki sab kahani KHatm-shud

dhadkanon ki sab kahani khatm-shud
meri aankhon ka bhi pani khatm-shud

mai nai lao dukan-e-hijr se
jo padi thi kuchh purani khatm-shud

ye rahi wo jhil jis ki khoj thi
panchhiyo naql-e-makani khatm-shud

barf ne sar par basera kar liya
ab jawani ki kahani khatm-shud

shahr-e-dil ki raunaqen sab kho gain
har tarah ki shadmani khatm-shud

ungliyon ke bolne se ye hua
sab payam-e-munh-zabani khatm-shud

chal ke 'asif' puchhte hain waqt se
kab ye hogi raegani khatm-shud


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close