dhalani tez-raftari mein dakhl-andaz mat ho kisi biphre hue sailab ka aaghaz mat ho mohabbat ikhtitami antare par aa na jae kisi jangi tarane ka bhadakta saz mat ho khandar hoti hui duniya mein tera git gunje naya aaghaz ban ja aakhiri aawaz mat ho yahan itne diye hain tu kisi se lau laga le meri aankhon mein raushan rah nazar-andaz mat ho ye duniya dekhti rah jae aisa khwab ho ja magar tarik lamhon ka kabhi hamraaz mat ho tu apni raushni ki ham-rahi mein bhar udanen kisi ki dhund mein aamada-e-parwaz mat ho baja le sitiyan nare laga parde gira de magar apne kahani-kar se naraaz mat ho