dhire dhire aap ka gulshan mein aana yaad hai chori chori mujh se wo aankhen churana yaad hai chalte chalte rah mein aur baaton baaton mein kabhi wo tera nazren mila kar muskurana yaad hai mit nahin sakti kabhi dil se ada-e-dil-nawaz naz se manind-e-ahu aana jaana yaad hai hae wo masti ka aalam wo nirali shokhiyan husn ki jadugari ka wo zamana yaad hai jin ghalat-andaz nazron se kabhi dekha mujhe dil hua tir-e-nazar ka bas nishana yaad hai kale baadal ki tarah lahra gai zulf-e-siyah aur wo sawan ghata ka kanp jaana yaad hai wo jo guzra tha kabhi is anjuman mein ai 'asad' zindagi ka besh-qimat wo zamana yaad hai