dho gai chehron se gard yas ka ghaza hawa kar gai afsurda ruhon ko tar-o-taza hawa lakh baithun chhup kar apne band kamron mein magar tod kar aa jaegi ek ek darwaza hawa subh aanchal ki hawa de kar khilati hai jise shab ko bikhraati hai khud us gil ka shiraaza hawa bhar chale the zakhm jo phir se lage munh kholne kuchh purane dard le kar aai hai taza hawa ji tarasta hai phir un lamhon ko jab yakja the sab raqs-e-mai bu-e-saman rang-e-shafaq taza hawa hum to apni khana-virani ka matam kar chuke dekh kar ja kar ab tu koi aur darwaza hawa wo latafat wo mahak kyun 'chand' yaksar kho gai bhar rahi hai kin khataon ka ye khamyaza hawa