dhoka hai numaish hai tamasha hai guzar ja ye raunaq-e-bazar ye duniya hai guzar ja thahre hue pani ka muqaddar nahin hota bahte hue pani ka taqaza hai guzar ja ehsas-e-fana hi teri hasti ka safar hai ehsas-e-fana hi tera rasta hai guzar ja maujon se guzar dida-e-tar khub safar kar to mil ka patthar nahin dariya hai guzar ja mahsus jo hota hai wahi tera jahan hai jo kuchh nazar aata hai wo saya hai guzar ja