dhoka tha har ek barg pe tute hue par ka wa jis ke liye rah gaya daman sharar ka main ashk hun main os ka qatra hun sharar hun andaz baham hai mujhe pani ke safar ka karwat si badalta hai andhera to use bhi de dete hain hum sada-manush nam sahar ka tohmat si liye phirte hain sadiyon se sar apne ruswa hai bahut nam yahan ahl-e-hunar ka qaem na raha khak se jab rishta-e-jaan to bas dhul pata puchhne aati thi shajar ka jo shah ke kandhon ki wajahat ka sabab hai dekho to bhala taj hai kis kasa-e-sar ka ashkon se tapan hai kabhi aahon se khunuk hai ek umr se 'majid' yahi mausam hai nagar ka