dhul aankhon mein paDi ho jaise

dhul aankhon mein padi ho jaise
har koi aur koi ho jaise

sae ke sath lage rahte hain
ye bhi apna hi koi ho jaise

panw phailae padi hai ummid
muddaton pau na phati ho jaise

apni har baat pe hota hai guman
hum ne pahle bhi kahi ho jaise

hansne lagte hain to dhamkati hai
zindagi hum se badi ho jaise

dard ko ajnabi kahne wale
tu ne aawaz na di ho jaise

pau phate khush hain ki wo aaega
aaj ki raat abhi ho jaise

hae wo nind udati aankhen
khwab mein umr kati ho jaise

is tarah aaya hai milne mujh se
mujh se milte hi bani ho jaise

har kisi chehre se uthti hai lapak
shahr mein aag lagi ho jaise

dil mein utre to chhupa kar rakhiye
raat hire ki kani ho jaise

hijr ki raat aur 'ashk' itni sust
waqt ki chot lagi ho jaise


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close