dhul hi dhul adi hai mujh mein sabz ek shakh jali hai mujh mein kitni virani hai mere andar kis qadar teri kami hai mujh mein dur tak ab to khamoshi hai bas dur tak ab to yahi hai mujh mein man leti hun mukammal ho tum man leti hun kami hai mujh mein khushk hone hi nahin deti aankh wo jo sawan ki jhadi hai mujh mein