dhum gum-gashta KHazanon ki machata phire kaun

dhum gum-gashta khazanon ki machata phire kaun
in zamanon mein jo the hi nahin jata phire kaun

bagh mein un se mulaqat ka imkan bhi hai
sirf phulon ke liye laut ke aata phire kaun

sikh rakkhe hain parindon ne sab ashjar ke git
aaj-kal mud hi aisa hai ki gata phire kaun

main to kahta hun yahin ghaar mein rah lo jab tak
waqt puchho hi nahin shahr basata phire kaun

bhes badle hue ek shakhs ki khatir hai ye sab
hum faqiron ke bhala naz uthata phire kaun

khwab yani ye shab-o-roz jise chahiye hon
aa ke le jae ab aawaz lagata phire kaun

ikhtilafat saron mein hain gharon se badh kar
phir uthani jo hai diwar giraata phire kaun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close