dhun nahin koi muddaa kaisa dil hua dekh be-sada kaisa meri tausif sal sadiyan sana mein nahin jab to phir khuda kaisa lift khambe tu aur main ped pahad waqt wadi mein jam gaya kaisa dusron ki kahi-suni pe na ja tu bata tujh se main raha kaisa shab ki shab sath phir na bol na baat kya kahun hai wo sanwra kaisa main tujhi mein nihan tujhi pe ayan main hun maujud mawara kaisa rang mein bas ang umang mein pyas phul hi hai wo phul sa kaisa samne sach ke karbala-o-damishq kalima-e-haq pe aur sila kaisa do alag bans purkh-pat birha ab tere sang silsila kaisa kohar kohsar raat tera sath chand nikla naya naya kaisa aarzu ek janam maran yakja mujh mein tujh mein tha rabta kaisa zulm mansab sabhi ka tu ho ki main lun yahan haqq-e-khun-baha kaisa dhadke pal chhan sajan salone bin dil hai be-dard banwara kaisa