dhund ka aankhon par hoga parda ek din ho jaenge hum sab be-chehra ek din jis mutthi mein phul hai us ko band rakho khil kar ye jugnu ban jaega ek din aankhen mal mal kar dekhenge khwab hai kya aise rang dikhaegi duniya ek din chand-sitare kahin duboe jaenge khushbu par lag jaega pahra ek din ho jaenge khatm khazane ashkon ke yun niklega apna diwala ek din us ke pas uga do koi aur darakht ped ye ho jaega hariyala ek din