dhund kar pyar ke guhar lana dil ki gahrai se na dar jaana phul ban kar na itna itrana jaane kis din pade bikhar jaana dekh kar wo khud apna aaina apni surat na aap pahchana dil ki dharti ke khushk honton par pyar ki ek bund barsana dekhiye mere dil ke saghar mein gharq hai zindagi ka mai-khana ki raqam khun se ghazal tum ne 'raj lae ho khub nazrana