dhup ho tez to diwar ka saya hai bahut

dhup ho tez to diwar ka saya hai bahut
chand yaadon ka asasa bhi asasa hai bahut

bebasi halqa-e-zanjir bani hai phir yaro
zindagi hum ne tujhe tut ke chaha hai bahut

jite ji kitne sawalon se chhudae daman
aadmi apne gareban se uljha hai bahut

tut jaega kisi din bhi andheron ka tilism
sochne walon ke zehnon mein ujala hai bahut

log phir log hain rai ka banate hain pahad
udne walon ka hunar hum ne bhi dekha hai bahut

ek ek lamha bhi barson ke barabar hai 'jalil'
qaid-e-tanhai hai dil apna akela hai bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close