dhup ko garm na kah saya-e-diwar na dekh tujh ko chalna hai to phir waqt ki raftar na dekh meri fikron se ulajh mujh ko samajhne ke liye dur se mauj mein uljhi hui patwar na dekh un ki ruhon ko parakh aadmi hain bhi ya nahin sirf surat pe na ja jubba-o-dastar na dekh apne aangan hi mein kar fikr-e-numu-e-gulshan koi jannat bhi agar hai pas-e-diwar na dekh in damakte hue lamhat ke jadu se nikal waqt ki chaal samajh shokhi-e-raftar na dekh gham se ladna hai to phir gham-zada surat na bana zinda rahna hai to murdon ke ye atwar na dekh mere naghmat ko tafrih ke kanon se na sun raqs ki pyas hai aankhon mein to paikar na dekh qadrdani ko maraatib ke taraazu mein na tol kaun 'afsar' hua yusuf ka kharidar na dekh