dhup mein jaise kuhasa ek tasawwur aap ka

dhup mein jaise kuhasa ek tasawwur aap ka
hai hasin jhonka hawa ka ek tasawwur aap ka

zehn mein aa kar kahin se gudgudane lag gaya
dekh kar mujh ko ruwansa ek tasawwur aap ka

sidhiyan kitni bhi chadh lun bhul jaane ki bhale
sanp hai ninanwe ka ek tasawwur aap ka

ye nahin ho to khalish hai aur ho to bhi khalish
dard hai lekin dawa sa ek tasawwur aap ka

raat-din pichhe lag rahta hai saya sa mere
be-tahasha bad-hawasa ek tasawwur aap ka

go haqiqat khwahishon par munh chidati hai magar
hai haqiqat par tamacha ek tasawwur aap ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close