dhup rukhsat hui sham aai sitara chamka gard jab baith gai nam tumhaara chamka har taraf pani hi pani nazar aata tha mujhe tum ne jab mujh ko pukara to kinara chamka muskuraati hui aaankhon se mila izn-e-safar shahr se dur na jaane ka ishaara chamka ek tahrir ki jo saf padhi bhi na gai magar ek rang mere rukh pe dobara chamka aaj ek khwab ne phir zehn mein angdai li aur tufan mein tinke ka sahaara chamka sazgar aane lagi thi hamein khalwat lekin ji mein kya aai ki phir zauq-e-nazara chamka jhilmilane lagin mahfil mein charaghon ki lawen rukhsat ai ham-nafaso subh ka tara chamka