dhup thi sahra tha lekin jism ka saya na tha aadmi is se ziyaada to kabhi tanha na tha khinchte the apni jaanib regzaron ke sarab dur tak sahra mein lekin aab ka qatra na tha ek mubham khwab tha aankhon mein aur dil mein junun zehn mein lekin imarat ka koi naqsha na tha bhid thi basti mein lekin main kise pahchanta itne logon mein kisi bhi shakhs ka chehra na tha is qadar shiddat se wo dariya samundar se mila ab samundar hi samundar tha kahin dariya na tha ghar ki azmat hae jis diwar se mahfuz thi ghar ke darwaze pe ab wo tat ka parda na tha wo ghazal apni sajata tha lahu ke rang se phir bhi kahte hain 'nafas' us ka koi pesha na tha