dhup uthata hun ki ab sar pe koi bar nahin beach diwar hai aur saya-e-diwar nahin shahr ki gasht mein hain subh se sare mansur ab to mansur wahi hai jo sar-e-dar nahin mat suno mujh se jo aazar uthane honge ab ke aazar ye phaila hai ki aazar nahin sochta hun ki bhala umr ka hasil kya tha umr-bhar sans liye aur koi ambar nahin jin dukanon ne lagae the nigah mein bazar un dukanon ka ye rona hai ki bazar nahin ab wo haalat hai ki thak kar main khuda ho jaun koi dildar nahin koi dil-azar nahin mujh se tum kaam na lo kaam mein lao mujh ko koi to shahr mein aisa hai ki be-kar nahin yaad-e-ashob ka aalam to wo aalam hai ki ab yaad maston ko teri yaad bhi darkar nahin waqt ko sud pe de aur na rakh koi hisab ab bhala kaisa ziyan koi kharidar nahin