dhyan aariz ka hua zulf-e-chalipa dekh kar yaad kaba aa gaya mujh ko kalisa dekh kar tan ke chalna hai bura yan ka chalan achchha nahin jo hain dana panw wo rakhte hain duniya dekh kar naza mein aankhen jo badlin meri wo kahne lage khush hue kya putliyon ka hum tamasha dekh kar tauba-e-zahid ke dam par aa bani ek aan mein dast-e-saqi mein labaalab jam-e-sahba dekh kar sach hai bhai tha phir aakhir josh-e-khun jata kahan ro utha majnun mujhe jangal mein tanha dekh kar us lab-e-jaan-bakhsh ki mojiz-numai ka yaqin ho gaya 'talib' ko ejaz-e-masiha dekh kar