dhyan ka rahi ruk ruk kar pichhe takta hai bite lamhe yaad aate hain dil rota hai band dariche saf-basta gum-sum diwaren shahar ki virani se mujh ko khauf aata hai jaane logon ki aawazen kya kahti hain jaane har jaanib kyun gahra sannata hai kahte hain aa aa ke mujh ko unton wale sahra mein bijli chamki hai meinh barsa hai badhte hi jate hain diwaron ke sae dhup ka sundar jauban ab dhalta jata hai pahron baitha un ki baaton ko sunta hun kaghaz ki taswiron se ji khush hota hai hamdam aise log kahan se dhundh ke laun jin ki baaton se dil ka ghuncha khilta hai