dida-e-bina hai to hogi hi jalwa-ashna

dida-e-bina hai to hogi hi jalwa-ashna
qatra dariya-ashna to sahra zarra-ashna

yun to kahne ko sabhi hain ek duniya-ashna
dil hi jaane hai yahan ab kaun kis ka aashna

itr kitne istiaron ne kiya un se kashid
shakh par hain jhumte ye phul shoala-ashna

iktifa nan-e-jawin par ab kiya jata nahin
lazzat-e-kaam-o-dahan hai mann-o-salwa-ashna

ishq ke maron ko jab bhi ghaur se dekha zara
dil nahin majnun-sifat aur aankh laila-ashna

aane wale waqt ka timsal-gar tha us ka fan
'ghaalib'-e-khasta hamare ahd ka tha aashna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close