dida-o-dil meri sarkar utha lae hain hum qafas mein bhi tera pyar utha lae hain kaise chhinenge bhala hum se mohabbat teri hum tere kucha-o-bazar utha lae hain lakh viran sahi gosha-e-zindan lekin hum to tere lab-o-rukhsar utha lae hain zang-alud pade the teri ghaflat ke sabab hum wahi dard ke hathiyar utha lae hain hum se banti na gain bachchon mein khushiyan ab ke id ke din rasan-o-dar utha lae hain husn-e-yusuf teri hurmat ko bachane ke liye hum yahan misr ka bazar utha lae hain surkh-rui ki numaish thi sar-e-bazm-e-jahan mere qatil meri dastar utha lae hain main to ek umr se khamosh pada tha 'safdar' mere dushman mera pindar utha lae hain