dikha ke apni hasin aan-ban pal bhar mein

dikha ke apni hasin aan-ban pal bhar mein
wo dur kar gaya meri thakan pal bhar mein

baghair aag lagae bhi kuchh hasinon ne
jala diye hain kai jism-o-jaan pal bhar mein

tamam log isi dar mein mar rahe hain yahan
bichhad na jaen zamin aasman pal bhar mein

namaz-e-ishq bhi padhta wo kash ruk jata
jo de gaya mere dil mein azan pal bhar mein

wo be-zaban tha lekin ye waqia hai 'kanwal'
suna gaya hai koi dastan pal bhar mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close