dikhaegi asar dil ki pukar aahista aahista bajengge aap ke dil ke bhi tar aahista aahista nikalta hai shagafon se ghubar aahista aahista thamegi aankh se ashkon ki dhaar aahista aahista rahi mashq-e-sitam jari agar kuchh din janab aise milenge khak mein sab jaan-nisar aahista aahista muqaddar us ka murjhana hi to hai baad khilne ke kali par ya-khuda aae nikhaar aahista aahista bana hai nazim-e-gulshan koi sayyaad ab shayad parinde ho rahe hain sab farar aahista aahista mohabbat ke marizon ka mudawa hai zara mushkil utarta hai 'sada' un ka bukhar aahista aahista