dikhai de raha hai jo sunai kyon nahin deta

dikhai de raha hai jo sunai kyon nahin deta
sunai de raha hai jo dikhai kyon nahin deta

juda ho kar bhi wo mujh ko judai kyon nahin deta
wo apni qaid se mujh ko rihai kyon nahin deta

khabar meri khushi ki sun ke jo mayus baitha hai
wo mera hai to phir mujh ko badhai kyon nahin deta

mujhe sab log kahte hain bura kahta hai wo mujh ko
agar ye jhut hai to phir safai kyon nahin deta

mohabbat ke likhun naghme main jis se dil ke safhon par
qalam ko ai khuda wo raushnai kyon nahin deta

sulagti dopahar ko bhi jo barish mein bhigota hai
wo jalte june se dil ko july kyon nahin deta

andhera chha gaya hai kyon 'kiran' har-su fazaon mein
ziya mein bhi teri hum ko sujhai kyon nahin deta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close