dikhla do naqsh pa-e-rasul-e-amin ko ta-mashq sajda ho mere lauh-e-jabin ko ai aah-e-dil jo jawe to arsh-e-barin ko kahiyo salam isa gardun-nashin ko balbe sharar-e-ashk ki garmi ki ab talak ek aag lag rahi hai meri aastin ko tha main kamin-e-bosa main bole isi liye ashraf munh lagate nahin hain kamin ko jab main hansunga aap se ro dijiyega na phir tum bahut ho chhedte is kam-tarin ko kahti ho kya raqib ko bhejun bata salah lanat hi bhejiyega yazid-e-lain ko dekhun hun gar alif ko to ai dil hazar bar karta hun yaad tere qad-e-dil-nashin ko aawe nazar jo lam to aawe khayal-e-zulf jab scene padh ke dekhun hun dandan masin ko karta hun teri ulfat-e-dandan mein sin sin yan tak ki pahuncha hun main dam-e-wapsin ko tabdil-e-bahr se wo ghazal padh ba-ab-o-tab 'ehsan' khushi ho jis se dil-e-samain ko