dil azal se markaz-e-alam hai shisha-e-aghaz mein anjam hai chashm-e-saqi ka ye sara kaam hai nashsha-e-mai muft mein badnam hai baada-e-ahmar se khali jam hai dil to hai lekin bara-e-nam hai wajh-e-taskin dil ki dhadkan ban gai ab hawa chalti hai kuchh aaram hai marhaba ai kasa-e-charkh-e-kuhan gardishen jab tak hain tera nam hai teri qismat hi mein zahid mai nahin shukr to majburiyon ka nam hai