dil bahak jata hai barsat ke sath hum bigad jate hain haalat ke sath wo muqaddas hai sahife ki tarah hifz ho jata hai aayat ke sath kitne raushan hain dar-o-baam-e-khayal hum chamakne lage zarraat ke sath dasht-e-jaan aur tere dard ki lau kaun guzra hai meri raat ke sath ye ghanimat hai ki hum zinda hain log mar jate hain aadat ke sath koi tadbir falak ki na chali hum jawan ho gae aafat ke sath maslahat sach nahin kahne deti log bikte hain karamat ke sath ek raghbat hai mai-e-nab se 'qais' ek talluq hai kharabaat ke sath