dil buton pe nisar karte hain kufr ko paedar karte hain jin ka mazhab sanam-parasti ho kafiri ikhtiyar karte hain us ka iman lutte hain sanam jis ko apna shikar karte hain hausla mera aazmane ko wo sitam bar bar karte hain is se badh kar nahin namaz koi apni hasti se pyar karte hain ai 'fana' dil sambhaal kar rakhna but nigahon se war karte hain