dil chaha kare manzar-e-shadab mein rahna ai aankh sada chand ke hi khwab mein rahna khush-rang gulabon se sajaana sada mahfil aur sham-o-sahar jalwa-e-mahtab mein rahna shayad kabhi dekha hai tumhein us mein nahate chaha hai kanwal ne usi talab mein rahna ai zindagi ye qahr bhi tera na ho mujh par har roz thakan ka mere aasab mein rahna tum bhi kisi gul-rukh pe kabhi jaan lutate qismat mein agar hota jo punjab mein rahna tum jhil si aankhon mein mujhe apni basa lo dushwar hua aalam-e-asbab mein rahna tu ne mujhe ai zindagi itne diye chakkar tab aaya mujhe halqa-e-girdab mein rahna