dil-e-barham ki khatir muddaa kuchh bhi nahin hota ajab haalat hai ab shikwa gila kuchh bhi nahin hota koi surat ubharti hai na main mismar hota hun main wo patthar ki jis ka faisla kuchh bhi nahin hota kisi ko sath le lena kisi ke sath ho lena faqiron ke liye achchha bura kuchh bhi nahin hota kabhi chalna mere aage kabhi rahna mere pichhe rah-e-ulfat mein chhota ya bada kuchh bhi nahin hota kabhi dil mein mere tere siwa har baat hoti hai kabhi dil mein mere tere siwa kuchh bhi nahin hota wahi tuti hui kashti wahi pagal hawaen hain hamare sath duniya mein naya kuchh bhi nahin hota ye sauda hai nigahon ka tijarat dil ki hai lekin mohabbat mein khasara faeda kuchh bhi nahin hota kabhi do chaar qadmon ka safar tai ho nahin pata kabhi milon se lamba fasla kuchh bhi nahin hota faqat kirdar ka mara hua hai har bashar warna koi insan achchha ya bura kuchh bhi nahin hota falak par hi sitaron ka koi unwan hota hai kisi tute sitare ka pata kuchh bhi nahin hota bhale khwahish karun teri kisi bhi shakl mein lekin mera maqsad parastish ke siwa kuchh bhi nahin hota agar dekhun to khami hi dikhai de har ek shai mein agar sochun to khud se bad-numa kuchh bhi nahin hota ba-zahir umr-bhar yun to hazaron kaam karte hain haqiqat mein magar hum ne kiya kuchh bhi nahin hota