dil-e-be-muddaa ne mar dala mujhe meri haya ne mar dala qaza ko chahiye tha ek bahana mujhe teri dua ne mar dala jise pala tha tere gesuon ne use baad-e-saba ne mar dala zamane ki hawa kab ras aai zamane ki hawa ne mar dala jise apna samajh ke dil lagaya usi dair-ashna ne mar dala mujhe to mar sakta tha na koi mohabbat ki ada ne mar dala talash-e-yar mein phirta hun kab se kisi ke naqsh-e-pa ne mar dala buzurgon ki dua se bach gaya tha mujhe meri dua ne mar dala 'rafiq' ek roz to marna hai lekin kisi rangin ada ne mar dala