dil-e-betab mera wo na phansane pae do hi jhatke jo zara zulf-e-dota ne pae hath-pai hui maikhane mein zahid se kahin hum ne tasbih ke bikhre hue dane pae chhed manzur na ho tujh ko to mizhgan teri dil-e-betab ko ungli na lagane pae jal gaya kya meri aatish-qadami se jangal chaar tinke na kahin baad-e-saba ne pae hum ne apna dil-e-gum-gashta na paya kho kar warna yan dhundhne walon ne khazane pae la shab-e-wada use khinch ke ai jazba-e-dil hila-ju panw mein meinhdi na lagane pae hur ke waste zahid ne ibaadat ki hai sair to jab hai ki jannat mein na jaane pae