dil-e-dard-ashna rakkhe hue hain

dil-e-dard-ashna rakkhe hue hain
badan mein karbala rakkhe hue hain

kisi ke rang mein dhalte nahin hain
hum apni kimiya rakkhe hue hain

hamin tafhim-e-duniya ke muamme
khala andar khala rakkhe hue hain

koi manzil nahin manzil hamari
ek aatish zer-e-pa rakkhe hue hain

ladai zulmat-e-shab se hai jari
sar-e-baam ek diya rakkhe hue hain

hamare samne hain par wo yun hain
na hone ki ada rakkhe hue hain

jo mausam pahn kar aae hain suraj
wo daman mein ghata rakkhe hue hain

dalil-e-khamushi kaam aa rahi hai
kisi ko be-nawa rakkhe hue hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close