dil-e-fasurda mein kuchh soz o saz baqi hai wo aag bujh gai lekin gudaz baqi hai niyaz-kesh bhi meri tarah na ho koi umid mar chuki zauq-e-niyaz baqi hai wo ibtida-e-mohabbat ki lazzaten wallah ki ab bhi ruh mein ek ehtizaz baqi hai na saz-e-dil hai ab 'akhtar' na husn ki mizrab magar wo fitrat-e-naghma-nawaz baqi hai