dil-e-khilqat-e-khuda ko sanama jala na chandan ki falak ke par pahunche taf-e-ah-e-dard-mandan kahen kya ki dekhte hain tujhe ghair sath khandan rahe hont ho chabaate ba-jigar-fashurda-dandan wahin jhad-gulon ke tude bandhen gulbanon ke niche kabhu subh-dam chaman mein jo wo ghuncha-lab ho khandan kaho kya barrar-sohbat meri us ki ho azizan dil-e-nazuk apna shisha dil-e-sang us ka sandan na bachega said un se koi aahu-e-haram tak jo rahe shikar-afgan yahi ambarin-kamandan kabhu rang se hina ke sar-e-dast-o-pa nigarin na siwa-e-khun-e-ashiq karen ye nigar-bandan na ho ghair sath har-dam mutabassim ai pari-wash na namak-fishan ho dil ke sar-e-rish mustamindan kiye shana rish ko yan abas aae shaikh ji tum ki ye jam-e-bazm-e-rindan hai fariq-e-rish-khandan nahin fal lab pe us ke ye hai mehr khamushi ki wahi samjhe hai ye nukta ki jo hai bada sukhan-dan kahin sarw se mushabah tere qad ko past-fitrat ye hai gosh-zad hamare sukhan-e-nazar-bulandan sabhi mahw-e-khud-numai ba-misal-e-aina hain ye khudai se nirala hai giroh-e-khud-pasandan teri wasf ka kamar ke na bandha kisi se mazmun rahe khwab mein adam tak jo kai khayal bandan 'muhib' is ada ke sadqe ki uthae mar thokar sar-e-pa-e-naznin se wo sar-e-niyaz-mandan