dil-e-tabah ho khandan nahin to kuchh bhi nahin khizan mein rang-e-bahaaran nahin to kuchh bhi nahin wo dil jo nam-e-mohabbat pe muskuraata hai harif-e-gardish-e-dauran nahin to kuchh bhi nahin ye karb-o-ah ki duniya ajib duniya hai agar hayat ghazal-khwan nahin to kuchh bhi nahin jahan ki khak jo chhane koi to kya hasil tawaf-e-kucha-e-jaanan nahin to kuchh bhi nahin zamana lakh taraqqi kiya kare lekin dilon mein azmat-e-insan nahin to kuchh bhi nahin