dil-e-tanha mein ab ehsas-e-mahrumi nahin shayad teri duri bhi ab dil ke liye duri nahin shayad jahan din mein andhera ho wahan raaton ka kya kahna yahan ke chand suraj mein chamak hoti nahin shayad main jab bistar se uthta hun to yun mahsus hota hai mere andar ki duniya raat bhar soti nahin shayad ye kis sahra ke kis goshe mein khema tan baithe hain kisi bhi samt koi rahguzar jati nahin shayad hum apni zindagi ki dhup mein tapne ke aadi hain hamein thandi hawa barson se ras aati nahin shayad 'habib' is zindagi ke pech-o-kham se hum bhi nalan hain hamein jhute naginon ki chamak bhati nahin shayad