dil-e-viran bhi tha maskan kisi ka

dil-e-viran bhi tha maskan kisi ka
usi mein nur tha raushan kisi ka

gadhi hai aarzu zinda hai hasrat
kisi ka ghar hai dil madfan kisi ka

bapa hai shor-e-mahshar qatl-gah mein
kisi ka hath hai daman kisi ka

do-alam ko tah-o-baala na kar de
badalna naz hai chitwan kisi ka

gulistan mein zara ja kar to dekho
kisi ki khandgi shewan kisi ka

bharosa charkh par ai dil na karna
hua kab dost ye pur-fan kisi ka

charagh-e-ishq hai aansu se raushan
kisi ka khun-e-dil roghan kisi ka

tamanna shauq se nigaran hai is mein
kisi ka zakhm-e-dil rauzan kisi ka

'jamila' dasht mein kahti thi ro kar
ilahi dil na ho dushman kisi ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close