dil gham ka talabgar hai malum nahin kyun

dil gham ka talabgar hai malum nahin kyun
rahat se ye bezar hai malum nahin kyun

haq ye hai ki hum donon mohabbat mein bandhe hain
lekin use inkar hai malum nahin kyun

jo mo'atabar tha ahl-e-zamana ki nazar mein
ruswa sar-e-bazar hai malum nahin kyun

main bhulna chahun bhi bhula paun na un ko
kuchh aisa sarokar hai malum nahin kyun

jo bhi ho ghalat baat jhatak deta hai aksar
is darja wo khuddar hai malum nahin kyun

insan kisi baat pe rahta nahin qaem
ye zehn se bimar hai malum nahin kyun

khamosh si rahti hai zaban us ki barabar
dil mail-e-guftar hai malum nahin kyun

qurbat bhi kisi ki nahin hai ras 'karan' ko
ye khud se hi bezar hai malum nahin kyun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close