dil guman tha gumaniyan the hum han miyan dastaniyan the hum hum sune aur sunae jate the raat bhar ki kahaniyan the hum jaane hum kis ki bud ka the subut jaane kis ki nishaniyan the hum chhodte kyun na hum zamin apni aakhirash aasmaniyan the hum zarra bhar bhi na thi numud apni aur phir bhi jahaniyan the hum hum na the ek aan ke bhi magar jawedan jawidaniyan the hum roz ek ran tha tir-o-tarkash bin the kamin aur kamaniyan the hum arghawani tha wo piyala-e-naf hum jo the urghawaniyan the hum nar-e-pistan thi wo qattala aur hawas-darmiyaniyan the hum na-gahan thi ek aan aan ki thi hum jo the nagahaniyan the hum