dil hai ki hamein phir se udhar le ke chala hai ummid se phir rishta-e-jaan bandh liya hai aahat pe na chaunko ki na aaegi yahan maut dastak pe na jao ki ye aawara hua hai ab sang mudawa nahin aashufta-sari ka yan sang se bhi phod ke sar dekh liya hai kya kijiye har kawish-e-darman hui mahdud har jada-e-imkan hai ki masdud hua hai zinda hain bahar-taur ki marna nahin bas mein ta-umr hamare liye jine ki saza hai ai dil kabhi patthar bhi kahin mom hue hain jo khwab mein dekha hai kahin sach bhi hua hai