dil hai ya mele mein khoya hua bachcha koi jis ko bahla nahin sakta hai khilauna koi main to jalte hue zakhmon ke tale rahti hun tu ne dekha hai kabhi dhup ka sahra koi main lahu hun to koi aur bhi zakhmi hoga apni dahliz pe phenko to na shisha koi khwahishen dil mein machal kar yunhi so jati hain jaise angnai mein rota hua bachcha koi zaiche tu ne umidon ke banae the magar mit gae harf gira aankhon se qatra koi chandni jab bhi utarti hai mere aangan mein kholta hai teri yaadon ka daricha koi mera ghar jis ke dar-o-baam bhi mehman se the kash is ujde hue ghar mein na aata koi dil koi phul nahin hai ki agar tod diya shakh par is se bhi khil jaega achchha koi tum bhare shahr mein afkar liye phirte ho sab to muflis hain kharidega yahan kya koi raat tanhai ke mele mein mere sath tha wo warna yun ghar se nikalta hai akela koi 'afrin' dard ka ehsas mita hai aise jaise bachpan mein banaya tha gharaunda koi