dil hamara ho gaya viran sahra ki tarah mar gaya pyasa yahan har khwab chidiya ki tarah is ka apni hi rawani par nahin hai ikhtiyar zindagi shiw ki jataon mein hai ganga ki tarah har muqadma de raha hai jism par kode hazar main adalat mein rakha hun pak gita ki tarah ya to koi chahne wala yahan mera na ho aur koi ho to ho radha ya mera ki tarah zindagi meri ab us ki qabr mein mahfuz hai wo jo mere dil mein rahta hai tamanna ki tarah ek din mumkin hai main islam ka chehra banun darmiyan logon ke hun filhaal charcha ki tarah dagh hain jaan-o-jigar mein dil bana hai aag se 'mir' hun par hain mere ashaar 'sauda' ki tarah