dil hamara jaanib-e-zulf-e-siyah-fam aaega ye musafir aaj manzil par sar-e-sham aaega go bura hai dil magar rahne diya hai is liye ishq ki khugar tabiat hai kabhi kaam aaega ishq-e-dil kaamil nahin dekho abhi kholo na zulf said jab shahbaz hai kyunkar na tah-e-dam aaega qasid-e-marg aae ya aae tumhaara nama-bar kah raha hai dil ki koi aaj paigham aaega jam ghota kar ke kausar se mangai hai sharab mujh ko farmate hain wo paband-e-islam aaega nek namon ka ho majma bazm ho aarasta aap khush hon ya khafa hon ek badnam aaega tum naha lo jald warna rashk se mar jaunga dam mein ab saya sar-e-diwar-e-hammam aaega donon aankhen dil-jigar hain ishq hone mein sharik ye to sab achchhe rahenge mujh par ilzam aaega tark kar do shairi ko aql rakhte ho 'rashid' ho chuke ho pir ab kya tum ko ye kaam aaega