dil ishq ka hamesha harif-e-nabard tha

dil ishq ka hamesha harif-e-nabard tha
ab jis jagah ki dagh hai yan aage dard tha

ek gard-e-rah tha pai-e-mahmil tamam rah
kis ka ghubar tha ki ye dumbaala gard tha

dil ki shikastagi ne darae rakha hamein
wan chin jabin par aai ki yan rang zard tha

manind-e-harf safha-e-hasti se uth gaya
dil bhi mera jarida-e-alam mein fard tha

tha pushta reg-e-baad ye ek waqt karwan
ye gard-baad koi bayaban naward tha

guzri mudam us ki jawanan-e-mast mein
pir-e-mughan bhi turfa koi pir mard tha

aashiq hain hum to 'mir' ke bhi zabt-e-ishq ke
dil jal gaya tha aur nafas lab pe sard tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close