dil jal raha tha gham se magar naghma-gar raha jab tak raha main sath mere ye hunar raha subh-e-safar ki raat thi tare the aur hawa saya sa ek der talak baam par raha meri sada hawa mein bahut dur tak gai par main bula raha tha jise be-khabar raha guzri hai kya maze se khayalon mein zindagi duri ka ye tilism bada kargar raha khauf aasman ke sath tha sar par jhuka hua koi hai bhi ya nahin hai yahi dil mein dar raha us aakhiri nazar mein ajab dard tha 'munir' jaane ka us ke ranj mujhe umr bhar raha