dil ka gham se gham ka nam se rabta banta gaya dhire dhire barishon ka silsila banta gaya dard-o-gham sahne ki aadat is qadar pukhta hui haarna aakhir hamara mashghala banta gaya ek ek kar ke bahut dukh sath mere ho liye marhala-dar-marhala ek qafila banta gaya zabt ka daman jo chhuta hath se mere to phir mera chehra karb ka ek aaina banta gaya har taraf phaila hua tha be-yaqini ka dhuan khud-bakhud 'faruq' phir ek rasta banta gaya