dil kabhi talib-e-dua na hua sabab-e-sharm iltija na hua dil-e-sozan ne ki na aah kabhi shoala minnat-kash-e-hawa na hua dil mein daftar bhare hue the magar munh se ek harf bhi ada na hua rang-e-hasrat na jam saka dil mein aaina surat-ashna na hua rah gaya kaun sa gunah taufiq puchhiye sach to hum se kya na hua