dil ke darwaze pe dastak ki sada koi nahin kaun si manzil hai ye aawaz-e-pa koi nahin majlis-e-alam se kis tarah nikle zindagi ye wo zindan hai ki jis ka rasta koi nahin karbala to aaj bhi milta hai har har gam par shahar mein lekin husain-e-ba-wafa koi nahin kuchh samajh kar hi kiya hai main ne us ka intikhab kya hua us rah mein gar naqsh-e-pa koi nahin main jo uttha to utha sara zamana mere sath tum jo utthe to utha dil ke siwa koi nahin ai shab-e-furqat kahan bhatkegi chal mere hi ghar ye wo basti hai jahan raushan diya koi nahin aatish-e-ehsas mein jalte raho 'shibli' sada shairi se badh ke duniya mein saza koi nahin